Agar aap ko koi chord kar chala jaye ya kuch log Aap se Aankhen phairlen to Ghamgeen na..

▶ Baaz logon ki moujoodgi hamare zindagi mein hamare liye shar ka sabab hota hai hame un se koi bhi Nuqsan pahoch sakta hai Jismani, Ruhani ya Imani aur ye log baaz Aouqat hamare dil ke bahot qareeb hote hain aur jab wo hame chord jate hain ya kisi wajah se ham se muh mod lete hain to hame bahot Sadma pahochta hai kyun ke hame un se ye Ummid nahi hoti.
✿ Ham Udaas ho jate hain hamara dil toot jata hai, us Muqam par hame ♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki ham se Mohabbat aur us ki Kamal Hikmat ke Mutalliq sochna chahiye ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne ham par Rahem kiya aur hamen un ke Shar se Bacha liya. ♥