15 wi Sadi Hijri ke Munafiq par Aik Nazar

✦............x 15 wi Sadi Hijri ke Munafiq par Aik Nazar x............✦
• Munafiq se Jab deen ki baat kaho to kehta
hai - Asal Cheez to Insaniyat hai.
• Jab Namaz ki baat karo to kehta hai - Mera
libas theek Nahi.
• Jab roze ki baat karo to kehta hai - Kya
roze me hi Islam hai?.
• Jab zakat ki baat karo to kehta hai- Bank
mein khud hi cut Gayi.
• Jab Jihad ki baat karo to kehta hai - Asal
Jihad to Nafs se hota hai.
• Jab shar’yi parde ki baat karo to kehta hai
- Asal pardah to Nazar ka hota hai.
• Jab Shar’yi dadhi ki baat karo to kehta hai
– Dadhi sunnat hai Farz Nahi.
• Jab ulama ki baat karo to kehta hai – Saari
kharabiya Moulwiyon ki paida kirdah hain.
• Jab Shari’at par chalne ki Takeed karo to
kehta hai- Moulwiyon wali baten mat karo, Tum Apne aap ko Theek karo, Ye Mera
aur Mere Rab ka Muamla hai!.