✦.....♥ Azdwaj Zindagi
ki khushiyon ke liye Sunheri Hadees ♥.....✦
★ "Moujudah
dor mein har ghar bechaini ka shikar hai, Jise daikho gharelu jhagdon ka rona
ro raha hai, Is ki aik Bunyadi wajah shari’at k usulon se phir jana hai. Har
Musalman samajhta hai k Nikah karna sunnat hai Lekin kitni be hasi ki baat hai
k koi bhi Nikah ko sunnat k mutabiq ada karne ki koshis nahi karta".
⇨ Hamare Nikah aur
Shadi k Mawaqe Rusumat mein dabe hue hain, phir Barkat kaha se Aaye….??
Badtareen makhlooq hai wo shaks jo apne ghar ka Kharch chalane ke liye Sasural
se Jahez Maangta hai, Badtareen hai wo Aadmi jo Jahez ke liye Inkaar hi nahi
karta, Badtareen hai wo ghar Jahaan Jahez lene wale rehte hain, Jahez lena
laanat hai, Jahez se behtar zakat khairat sadka lelo aur Guzara kar lo.
[ :’( ] Talab Jahez ne cheen li Inki Tamam
Khushiyaan [:’( ] Dekho Udaas Baiti hain Hawwa ki Betiyan [:’(]
●═══════════════════════◄►══════════════════════●
●◗► "Kya hamne kabhi ladki ki talash k silsile mein Nabi
Sallallahu Alaihi wasallam ki is Hadees ko Harze Jaan (Bahot Azeez, Behad
pasandidah) banane ki haqeer si bhi koshish ki....…?
Narrated Abu Huraira (R.A): The Prophet Sallallahu
Alaihi Wasallam said, "A woman is married for four things, i.e., her
wealth, her family status, her beauty and her religion. So you should marry the
religious woman (otherwise) you will be a losers.
[Sahih Bukhari :: Vol 7 :: Book 62 :: Hadith 27]
Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai k Nabi kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Aourat se Nikah chaar Chizon ki bunyaad
par kiya jata hai, Us k maal ki wajeh se, aur us k khaandani sharf ki wajeh se,
aur us ki Khoobsurti ki waje se aur us k Deen ki waje se aur tu DEENDAR aourat
se Nikah kar k kamiyabi hasil kar, Agar aisa na kare to Tere haton ko mitthi
lage gi.(yani aakhir me tujh ko nadamat hogi).
[Urdu Ref :: Sahih Bukhari ::Volume 6 :: Hadith
5090]
♥ Aik Paigaam Har Muslimah Bahen ke Liye ♥
Reviewed by
akbar khan
on
February 16, 2015
Rating:
5