Nikah ke Fawayed

✦.........................♥ Nikah ke Fawayed ♥.........................✦
◈ “Nikah” Sharm o Haya paida karta hai.
◈ "Nikah" se Mard o Aourat ki Fitri Jazbat ko taskeen
milti hai.
◈ Aourat ki hifazat hoti hai.
◈ Aoulad ki sahih tarbiyat hoti hai.
◈ Aik ghar basta hai.
◈ Nikah se be missal Mohabbat paida hoti hai.
◈ Rishte bante hai.
◈ Baahmi Ta’awun ka Jazba paida hota hai.
◈ Zina kari o Fahashi ka khatima hota hai.
◈ Fuqro Faqa ka khatima hota hai.
◈ Saaleh aur Munazzam Andaz mein Mua’shreh ki Islah hoti hai.
●══════════════════════◄►═════════════════════●
Narrated `Abdullah (Razi Allah Anhu): We were
with the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) while we were young and had no
wealth whatever. So Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "O
young people! Whoever among you can marry, should marry, because it helps him
lower his gaze and guard his modesty (i.e. his private parts from committing
illegal sexual intercourse etc.), and whoever is not able to marry, should fast,
as fasting diminishes his sexual power."
[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith
4]
Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Mas’ud (Razi
Allah Anhu) se Riwayat hai ke Ham Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam k
zamane mein Nojawan the aur Hamen koi cheez muyassar nahi thi, Huzoor
Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ham se farmaya, Nojawano ki Jamaat! Tum mein jise
bhi Nikah karne k liye Maali Taqat ho use Nikah karlena chahiye kyun k ye Nazar
ko nichi rakhne wala aur Sharmgah ki Hifazat karne wala Amal hai aur Jo koi Nikah
ki Bojah Gurbat Taqat na rakhta ho use chahiye k Rozah rakhe kyun k Roza us ki
Khuaheshat Nafsani ko tod dega.
[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 5066]