REVIVE A SUNNAH ⇨ "GIVE SALAM WHEN MEETING PEOPLE

Narrated 'Imran bin Husain Radi Allahu Anhu: A
man came to the Prophet ﷺ
and he said, “Peace be upon you.” (السَّلَامُ
عَلَيْكُمْ) The
Prophet ﷺ said, “TEN good deeds.”
Then another man came to the Prophet ﷺ and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah.”
( السَّلَامُ
عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ) The Prophet ﷺ
said, “TWENTY good deeds.”
Then another man came to the Prophet ﷺ and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah and His
blessings.” (السَّلَامُ
عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ
وَبَرَكَاتُهُ) The
Prophet ﷺ said, “THIRTY good
deeds.”
[Jami At-Tirmidhi :: Book 42 :: Hadith 2]
Urdu Translation: Hazrat Imran bin Husain
Radi Allahu Anhu farmate hain k Aik Shaks ne RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein Hazir hokar kaha (السَّلَامُ
عَلَيْكُمْ) Nabi
ﷺ ne Farmaya is k liye 10 Nekiyan hain.
Phir doosra Aadmi hazir hua aur kaha ( السَّلَامُ عَلَيْكُمْ
وَرَحْمَةُ اللَّهِ) Aap ﷺ ne Farmaya is k liye 20 Nekiyan hain.
Phir teesra Shaks aaya aur us ne kaha (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ
وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ) Aap ﷺ ne
Farmaya is k liye 30 Nekiyan hain.
[Urdu Ref ::
Jami Tirmizi :: Vol.2 :: Hadith 585]
●═══════════════════════◄►══════════════════════●
Abu Huraira reported: The Messenger of Allah (may
peace and blessing be upon him) observed: You shall not enter Paradise so long
as you do not affirm belief (in all those things which are the articles of
faith) and you will not believe as long as you do not love one another. Should
I not direct you to a thing which, if you do, will foster love amongst you: (i.
e.) give currency to (the practice of paying salutation to one another by
saying) as-salamu alaikum.
[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 96]
Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi
Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya
Tum Jannat mein na jaoge Jab tak Iman na laoge aur Imandaar (Poore Momin) na
banoge Jab tak Aapas mein aik Doosre se Mohabbat na rakhoge aur main tum ko wo
Cheez na batladun Jab tum us ko karo to Aapas mein Mohabbat hojaye, Salam ko
Aapas me Rayej karo.
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.1 :: Hadith 194]
●◗► Imandar
na banoge yani Poore Iman daar na honge Jab tak Mohabbat na rakhoge Aapas mein aik
doosre se aur Salam rayej karne ke ye mane hain ke har Aik Momin ko Salam kare
Khwah us se pehchan ho ya na ho aur Salam ulfat (Mohabbat) ka sabab hai aur
Dosti paida karne ki kunji hai aur Salam ke rayej karne mein Musalmano k dilon
mein Mohabbat jamti hai aur un ki Alamat Zahir hoti hai kyun ke Salam Musalmano
ki Nishani hai jo un ko aur Qoumo se mumtaz kardeti hai Aur us mein Nafs ki
Riyazat hai aur Tafaze hai aur Doosre Musalmano ki Tazeem hai.