✦.....♥ Koi Kaam karne ka Irada karo to
In'sha'Allah Kaha Karo ♥.....✦
⇨ "And never
say of anything, "I shall do such and such thing tomorrow." Except
(with the saying), "If Allah will!" And remember your Lord when you
forget and say: "It may be that my Lord guides me unto a nearer way of
truth than this."(Qur’an 18:23-24)
⇨ "Aur hargiz
kisi kaam par yun na kehna k main isai kal kardunga. Magar sath hi InshaAllah
keh lena (yani agar khuda chaha to kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar
ko yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori ummeed hai k mera Rab mujhe
is se bhi ziyada Hidayat k Qareeb ki baat ki Rehbari karay".(Qur'an
18:23-24)
••► "Mufassireen Kehte hain k Yhudiyon ne Nabi ﷺ se Teen (3) baten puchi thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab
kahf aur Zulqarnain kon the? Nabi ﷺ
ne Farmaya: Main tumhain kal Jawab dunga, Lekin is k baad 15 din tak Jibraeel
a.s Wahi lekar nahi aaye, Phi jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka
ye Hukm diya".
★ Ayat Main غد (kal) se Muraad Aane wala din hain Yani jab bhi Mustaqbil
Qareeb ya dair se koi kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Jaroor kaha
karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ki wo Jis Irade ko zahir kar raha hai, Uski
Toufeeq bhi Allah ki taraf se milni hai ya nahin?
★ Agar Baat cheet aur wada karte waqt
In'sha'Allah kehna bhool jao, to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah kehlo, Ya
phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski Tareef aur Badayi aur us se Maafi Ki Dua
Hain.