NOOR OR BASHAR नूर-ओ-बशर
MERE AAQA KO NOOR NA MAN NE WALO.............
.Masla
Noor o BAshar k waqt hume kuch baate zehan mein rakhni chahiye k hum
mein or aap mein ikhtalaf kis baat ka hai phir is masle ko sahi tareekey
se samjha ja sakta hai.
aap or hum is baat par mutafik hain k Huzoor Sallaho Alaih wasalam bahsar hai .
lekin
hum dono mein ikhataf is baat ka hai k hum kehte hai k Huzoor Afzalul
Bashar honey k saath saath Noor bhi hai or aap kehte ho k woh noor nahi
hain.
lekin
aap jo apni dalail k tor par jo ayat pesh karte hain un par to hum
mutafik hai kiun k hum bhi mante hai k huzoor bashar hai.is liye aap woh
apne aqeeday ko sabit karne k liye Huzoor Sallahao Alaih e Wasalam ki
noor na hone ki koi daleel pesh karo na k bashar honey ki kiun k Huzoor k
bashar honey par to hum or aap mein itfaq hai.
is
liye aap ka farz banta hai k aap apna aqeedah sabit karne k liye Huzoor
Sallah Alaih e wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo .
or hum Huzoor k noor hone ki daleel pesh karte hai umeed hai k aap ko yeh tajveez achi lagio hogi.
Sabse pehle Allah ne Apne Noor se ..Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) k Noor ko paida kiya ...
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>Masla Noor o Bashr.
Aqeeqa Ahl e Sunnat Quran o Hadis ke roshni
mai issey read kijea aur aaj k is pur fiten door mai apnay aqeday ho
deen k choro say mahfooz rakhea.
Question..?
Kya Sarkar e Azam peace be upon him NOOR
hain aur dunia mai libase Bashri mai tashreef lae hain QURAN o HADIS ke
roshni mai jawab…??
Answer..
Islami Aqayed mai yeh baat mojood haik
Nabi e Kiram Alaihisslam NOOR k paiker hain SARKAR E AZAM Alaihisslam
bhi NOOR hain magar is dunia main libas e Bashriyat main ashreef laye
hain. Lehaza SARKAR E AZAM Alaihisslamka NOOR hona un ke haqeeqat hai
aur bashriyat aap Alaihisslam ke sifat hai isliyea hamai SARKAR E AZAM
Alaihisslam ke bashriyat aur Noraniyat dono per eman rakhna zroroi hai.
Al Quran.
Ayat…: LA QAD JAA’AKUMMENALLA HE NOOR.
(Sorah Ma’aeda Ayat 15 Parah 6)
Turjuma..
Bai shaq tumhary pas a gaya Allah ke taraf say 1 noor.
Tafseer..
Tafseer e Ibne Abbas page no 72…
Tafseer e Kabbir page no 396 jild 3… Tafseer e Khazin page no 417 Jild
awal, Tafseer e Madarik page no 470 Jild 1..Tafseer e Rooh alma’ani page
no 87 Jild 6…Tafseer e Rooh ul bayan page no 548 Jild 1…Tafseer e Durr e
Mansoor page no 231 Jild 3….Tafseer Jalalain..Tafse er Ibne e
Jareed…Maraj un nabuwat…..aur Mawahib al ludunia tamaam Mu’utabar
tafaseer mai mufasreen nay is ayat mai NOOR say SARKAR E AZAM
Alaihisslam murad lia hai.
Al Quran.
Ayat..WA ANZALNAA ELYEKUM NOORAN MUBEENA.
Turjuma…
Aur hum nay tumhari taraf roshan noorutara.
Tafseer.
Is ayat mubaraka mai roshan noor sya murad SARKAR E AZAM Alaihisslam ke zaat hai.
Al Quran.
Chahty haink Allah ka noor apnay muh
(mouth) say bujha dain aur Allah na manay ga magar apnay noor ko poora
kerna paray bura na manain kafir.
Sorah Tobah Ayat no 32 Parah 10.
Tafseer.
Mufasreen is ayat ke tafseer main
likhty hian k is Ayat mai NOOR say murad SARKAR E AZAM Alaihisslam
hain,kuffar chahty thy k SARKAR E AZAM Alaihisslam ko (Ma’az Allah)
qatal ker diya jae Quran e Majeed ke is ayat mai wazih hai k Allah
Ta’ala nay apnay Mahboob Alaihisslam ky qatal per kissi ko qudrat nahe
di.
In Ayat aur tafaseer say yeh baat sabit ho gae k SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR hain.
NOOR E MUSTAFA Alaihisslam AHADEES KE ROSHNI MAIN….
HADIS SHARIF.
AWWA LU MA KHALAQALLAHE NOORI.
Turjuma.
SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya tamam makhlooqat say pehly Allah Ta’ala nay meray NOOR ko paida farmaya..
(Ba hawala: Tafseer e Rooh ul
bayan….jild 2 page no 191, Madiraj alnabawut jild 2 page 2, Ma’arij al
Nabawaut Jild 5 page no 135.
Hadis Sharif.
ANA MIN NOORILLAHE WALKHALAQU KULLIHUM MIN NOORI.
Tarjuma.
SARKAR E AZAM Alaihisslamnay irshad
farmaya keh main Allah Ta’ala keh NOOR say hu aur sari makhlooq mery
NOOR say hai. (Bahawala = Ma’arij al Nabawaut, Musanaf Shah Abdul Haq
Muhaddis e Dehalvi Alerahma)
Hadis Sharif.
Hazrat Jabir RaddiAllah huta’ala Anho
say marvi hai keh SARKAR E AZAM Alaihisslam nay irshad farmaya ay Jabir!
RaddiAllah huta’ala Anho, bai shaq Allah Ta’ala nay sub Ashiya (things)
say pehly tery Nabi Alaihisslamka NOOR apnay NOOR (keh faiz) say paida
farmaya. (Bahawala= Mawahib eLudonya, Zarqani Sharif Jild 1 page no 42)
Hazrat Ibne Abbas RaddiAllah huta’ala
Anho bayan kerty hain aik raat main apni Khala Syeda Maimona RaddiAllah
huta’ala Anha keh thehr (stay) gaya (Imam Muslim farmaty hain) is keh
baad poora qissa hai. Ta hum is main chehry (face) aur bazo (Arm) dhonay
(wash) ka ziker nahe hai bal keh yeh mazkoor hai keh Aap Alaihisslam
mashkeezy keh pas tashirf laye is ka muh (Mouth) khola aur darmiyany
drjy ka wazu kiya phr App Alaihisslam bisterper a ker so gaye. Phr
dobara baidar hue, mashkeezy k pas aye aur mukamilwazu kiya (Muslim
farmaty hain is riwayat main dua k alfaz main) mujy NOOR bana dy, k
bajae “mery NOOR maiizafa ker dy” ky alfaz hain. (Bahawala = Muslim
Sharif Jild 1 Book Salah w al Musafireen w Qasar ha, Raqam al Hadis1693
Page 596 Matbua Shabeer Brothers Lahore)
Faeda (benefit).
Huzoor Alaihisslam ka dua farmana
kehmery Mola Azzwajal mery NOOR mai izafa ker dy, is baat ke taraf
ishara hai keh mery AAQA Alaihisslam NOOR to thyhe is lea to apnay NOOR
mai izafa ke dua ke.
Aqeeda.
Sub say pehly martabah e Nabawut Huzoor
Alaihisslam ko mila. Roze Misaaq tamaam Ambia Alaihisslam sya Huzoor
Alaihisslam per eman lany aur Huzoor Alaihisslam ke nusrat kerny ka ahad
liya gaya aur issi shart per yeh mansab e AZAM Huzoor Alaihisslam ko
diya gaya. Huzoor Alaihisslam Nabi ul Ambia hain aur tamaam Ambia Huzoor
Alaihisslam ky ummati sub nay apnay apnay ahad e Karim mai Huzoor
Alaihisslam ke niyabat mai kam kiya. Allah Azzwajal nay Huzoor
Alaihisslam ko apni zaat ka mazhar banaya ur Huzoor Alaihisslam keh NOOR
say tamaam alim ko munawar farmayar. ( Bahar e Shariyat, Hissa awal)
Aqeeda aik Musalman ka yahe hona chahea k
SARKAR E AZAM Alaihisslam bazahar bashr hain magar bai misaal bashr
bashriyat mai b aap ka koi sani nahe lakin apke Haqeeqat noor he hai.
In tamaam Ahadees e Mubaraka say yeh
bat sabit hue k SARKAR E AZAM Alaihisslam NOOR ul AALA NOOR hain balkeh
Aap Alaihisslam keh noor say he Kayenaat (Whole World) mai NOOR hai.
Bashriyat ka falsafa.
Al Quran.
Turjuma.
Aap farmao keh zahri soorat bashri main to mai tum jesa hoon.
(Sorah Qahaf, Ayat 110 Parah 15-16)
Is Ayat e Karima may SARKAR E AZAM
Alaihisslam say Alla Ta’ala nay Bashr kehlwaya yaha lafz e bashr kehna
Aap Alaihisslam ke inkesari hai jaisy koi Hakim e WAqat apni riaya say
kahay keh mai to ap ka khadim honn. Khadim kehna Hakim e Waqat ke ajizi o
inkesari hai kehny say wo khadim hargiz na ho ga SARKAR E AZAM
Alaihisslam say Allah Ta’ala nay bashr kehalwaya, khud Rabbe Karim nay
basher na kaha.
Ba’az mufaseerin nay is ayat ka yahe
matlab bayan kiya hai keh kissi insane ko yeh haq hasil nahe hai keh
Nabi ko aam insano jaisa bashr kahay Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay
jaisa bashr samjna Iblis aur kufar ka tareeqa hai.
Sub say pehly Nabi ko hiqarat say bashrkehny wala Shaita tha, Hazrat Adam Alaihisslam keh baray mai shaitan nay kaha.
Turjuma.
Bola mjhy zeba nahe keh mai bashr ko sajda karu.
(Sorah Hijrat Ayat 33 Parah 26)
Maloom huwa keh Ambia e Kiram
Alaihisslam ko hiqarat say bashr kenay ka agaz Shaitan say huwa phr is
ky chaily kuffar o mushriqeen bhi Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay
jaisa basher kehty thy.
Chunachy Hazrat Nooh , Hazrat Saleh , Hazrat Hood Alaihisslam ke qoom ky kafir nay in say kaha.
Al Quran.
Turjuma.
Tum to hum he jaisy bashr ho.
(Sorah Ibraheem , Ayat 10 Parah 13)
Hazrat Shoaib Alaihisslam ke qoom kehkafiroo nay kaha.
Turjuma.
Tum to nahe magar hum jaisy basher.
(Sorah Sho’ra’a Ayat 186 Parah 20)
In tamaam Ayaat say amloom huwa keh
Ambia e Kiram Alaihisslam ko apnay jaisa bashr kehna Shaitan aur is keh
pair o kar kuffar o mushriqeen ka amal hai Mominoo ka tareeqa nahe hai.
Question.
SARKAR E AZAM Alaihisslam Bashri libaday mai ku tashreef laye…??
Answer.
Is ka jawab Barasgeer (subcontinent)
keh Muhaddis Muhaqiq Shah Abdul Haq Muhadis e Dehlvi Aleherahma apni
Book Madaraj al Nabuwat Jild Awal keh page 109 , 110 per dety hue
farmaty hain k SARKAR E AZAM Alaihisslam sar say lai ker Qadam tak saray
k saray NOOR he NOOR thy, SARKAR E AZAM Alaihisslam Chand (moon) aur
soraj (sun) ke tarha roshan thy agar SARKAR E AZAM Alaihisslam bashriyat
ka parda pehnay hue na hoty to kissi ko dekhny ke taqat he na hoti.
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>