Weather (state,county)

Aqse Roo e Mustafa Se Naat Lyrics

Aqse roo e Mustafa se aisi zebayi mili
Khil utha Rang e Chaman phoolon ko raanaayi mili

Arze Taiba me muyassar aa gayi do gaz zameen
Yuh hamare muntashir ajza ko yaqtayi mili

Behre Ishq e Mustafa ka majra ho kya bayaan
Lutf aaya dubne ka jitni gehrayi mili

Chadar e Zahra ka saaya hai mere sar par Naseer
Faiz e Nisbat dekhiye nisbat bhi Zahraayi mili
Powered by Blogger.